MOJ E SUKHAN

وفا کی راہ میں گل ہی نہیں ہے خار بھی ہے

غزل

وفا کی راہ میں گل ہی نہیں ہے خار بھی ہے
یہ جرم وہ ہے کہ پاداش اس کی دار بھی ہے

سنبھل کے آ مرے ہمدم کہ راہ عشق و وفا
مقام سجدہ بھی میدان کارزار بھی ہے

مرے خدا تری رحمت کی آس رکھتا ہے
ترا یہ بندہ کہ خاطی بھی شرمسار بھی ہے

خزاں کا دور ہے گھبرا نہ بلبل غمگیں
خزاں کے بعد ہی پھر موسم بہار بھی ہے

وہ وقت دور نہیں ہے کہ پھر تو چہکے گا
کہ خار زار میں پوشیدہ لالہ زار بھی ہے

نشے میں مست ہیں جو لوگ وہ بھی یہ سن لیں
نشے کے بعد ہی اعضا شکن خمار بھی ہے

یہ کاروبار محبت بھی کیا بلا ہے عروجؔ
یقیں ہے وعدہ خلافی کا انتظار بھی ہے

عروج قادری

 

✦ Ghazal ✦

Wafā kī rāh mein gul hī nahīn hai, khār bhī hai
Yeh jurm woh hai ke pādāsh is kī dār bhī hai

Sambhal ke ā mere hamdam ke rāh-e-‘ishq o wafā
Maqām-e-sajda bhī, maidān-e-kārzār bhī hai

Mere Khudā, terī raḥmat kī ās rakhtā hai
Terā yeh banda ke khātī bhī, sharmsār bhī hai

Khazān kā daur hai, ghabrā na bulbul-e-ghamgīn
K͟hazān ke ba‘d hī phir mausam-e-bahār bhī hai

Woh waqt dūr nahīn hai ke phir tū chehke gā
Ke khārzār mein poshīda lālahzār bhī hai

Nashe mein mast hain jo log, woh bhī yeh sun leñ
Nashe ke ba‘d hī a‘zā-shikan k͟humār bhī hai

Yeh kārobār-e-moḥabbat bhī kyā balā hai ‘Urooj
Yaqīn hai wā‘da k͟hilāfī kā intizār bhī hai

– ‘Urooj Qādri

Email
Facebook
WhatsApp

مزید شاعری

رباعیات

غزلیات
نظم